روزانہ کی اپڈیٹ کے لئے سبسکرائپ کریں

Tuesday, September 6, 2011

Lehraaye Sada Aankh Mein by Mohsin Naqvi

Lehraaye sada aankh mein piyaray tera aanchal
Jhoomer hai tera chand,sitaray tera aanchal
Liptay kabhi shaano se kabhi zulf se uljhay
Kiyun dhoondta rehta hai saharay tera aanchal
Ab tak meri yaadon mein hai rangon ka talaatum
Dekha tha kabhi jheel kinaray tera aanchal
Mehkain teri khushbu se dehakti hui saansein
Hai taiz hawa khud se utaaray tera aanchal
Aanchal mein rachay rang nikhaarein teri zulfain
Uljhi hui zulfon ko sanwaaray tera aanchal
Is waqt hai titli ki tarah dosh hawa par
Is waqt kahan bas mein humaray tera aanchal
Kaajal tera beh beh k rulaaye mujhe ab bhi
Reh reh k mujhe ab bhi pukaray tera aanchal

 

Mohsin Naqvi

Please Give Us Your 1 Minute In Sharing This Post!
SOCIALIZE IT →
FOLLOW US →
SHARE IT →
Powered By: BloggerYard.Com

0 تبصرے:

Post a Comment

 
ترجمہ کردہ : محمد بلال اعظم