Aye Khuda!
Mere pyare sipahi ki talwar mein zang lagne laga hai
azanon se pehle jo bedar hoty thy
ab din charhy tak
chapr khut sy nechy utrty nie
dhoop agr sakht ho jaye
barish zara taiz ho jaye tu
yah jawan saal
ghar se nikalte nien
sarhadon ke nigehbaan ab kursiyon ke talbgar hain
apne aaqa kay darbar mein
jonbeshe chashm o abro ki pihm tilawat mein masroof hain
sir khamidah hain
shany bhi aage ko nikly huwy
bs nisab-e-tamlq ki takmil mein munhamk!
mera dil ro pra hai
aye khuda!
mere pyare watan pr yeh kaise ghari hai
trashe huey jism
aasaishon main pre
apni rehniyan kho rahe hain
zehn ki sari yakshi mafqud hai
ahle tebl-o-elm
ahle jah-o-chasm ban rahe hain
aur es baat pr
dekhti hun k magroor hain
aye khuda!
Mere pyare sipahi ko sarhad ka rasta dikha
ishq-e-amwal o hub-e-manasib se bahar nikal
es ke haathon mein
bholi hue taigh phir se thama!
Parveen Shakir
Tuesday, September 6, 2011
Defence Day Poetry by Parveen Shakir
Unknown
No comments
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 تبصرے:
Post a Comment