روزانہ کی اپڈیٹ کے لئے سبسکرائپ کریں

Tuesday, September 13, 2011

Dard Ko Jab Dil-e-Shair Me Zawaal Ata He by Ahmed Nadeem Qasmi

Dard ko jab dil-e-shair me zawaal ata he

Jo bhi shair ata he pathar ki misaal ata he

Teri aankhoun me kisi yaad ki lau chamki he

Chan nikle to samandar pe jamaal ata he

Ik nazar tu e jo daikha to sadi beet gaye

Mujh ko bas itna hisaab-e-maah-o-saal ata he

Bijlian jese chamakte hi kahin kho si gayein

Ab kuch is tara khyaal-e-khad-o-khaal ata he

Apne hi husan se hain larza bar-andaam tayoor

Jo bhi ata he, uthae hue jaal ata he

Aandhian mere chiragoun ke ta'aqub me chlain

Yun bhi be-waja, anaasir ko jalaal ata he

Jb bhi tasveer-e-bahara'an me bharoun rang Nadeem

Shakh se tote patoun ka khyaal ata he.

 

Ahmed Nadeem Qasmi

 

Please Give Us Your 1 Minute In Sharing This Post!
SOCIALIZE IT →
FOLLOW US →
SHARE IT →
Powered By: BloggerYard.Com

0 تبصرے:

Post a Comment

 
ترجمہ کردہ : محمد بلال اعظم