روزانہ کی اپڈیٹ کے لئے سبسکرائپ کریں

Tuesday, September 6, 2011

Wo Rut Bhi Aaye by Parveen Shakir

Woh Rut Bhi Aaye Kay Main Phool Ki Saheli Hui
Mehak Main Champakali, Roop Main Chambaili Hui

Woh Sard Raat Ki Barkha Say Kiun Na Pyaar Karoon
Yeh Rut To Hai Meray Bachpan Kay Saath Khailee Hui

Zameen Pay Paoon Nahi Par Raha Taqabbur Say
Nigar-E-Gham Koi Dulhan Nai-Nawailee Hui

Woh Chand Ban Kay Meray Saath Saath Chalta Raha
Main Is Kay Hajar Ki Raaton Main Kab Akailee Hui

Jo Hurf-E-Saada Ki Soorat Main Hamesha Likhi Gayee
Woh Larki Teray Liye Kis Tarha Paheli Hui

 

Parveen Shakir

Please Give Us Your 1 Minute In Sharing This Post!
SOCIALIZE IT →
FOLLOW US →
SHARE IT →
Powered By: BloggerYard.Com

0 تبصرے:

Post a Comment

 
ترجمہ کردہ : محمد بلال اعظم