روزانہ کی اپڈیٹ کے لئے سبسکرائپ کریں

Sunday, September 11, 2011

Gul Tera Rang Chura Lae by Ahmad Nadeem Qasmi

Gul tera rang chura lae hein gulzaroun me

Jal raha houn bhari barsaat ki bocharoun me

Mujh se ktra ke nikal ja, magr ae jaan-e-haya

Dil ko lau daikh raha houn tere rukhsaroun me

zikar karte hein tera mujh se, ba-unwan-e-jafa

Chara gar phool pro lae hein talwaroun mein

Zakhm chup sakte hein lekin mujhe fun ki sogand

Gham ki daulat bhi shamil he mere shehkaroun me

Muntazir hein ke koi tesha-e-takhliq uthae

Kitne asnaam abhi dafan hein kohsaaroun me

Mujh ko nafrat se nahipiyar se maslub karo,

Main to shamil houn muhabbat ke gunahgaaroun me.

Ahmead Nadeem Qasmi

Please Give Us Your 1 Minute In Sharing This Post!
SOCIALIZE IT →
FOLLOW US →
SHARE IT →
Powered By: BloggerYard.Com

0 تبصرے:

Post a Comment

 
ترجمہ کردہ : محمد بلال اعظم