روزانہ کی اپڈیٹ کے لئے سبسکرائپ کریں

Friday, September 2, 2011

Kabhi Yun Bhi Aa by Bashir Badar

Kabhi yun bhi aa meri aankh me k meri nazar ko khabar na ho

Mujhe aik raat nawaz de, magar us ke baad sehar na ho

Wo bada raheem-o-kareem he mujhe ye sift bhi ata kare

Tujhe bhulne ki dua karoun to meri dua me asar na ho

Mere baazuon mein thaki thaki , abhi mahav-e-khwaab hai chadni
Na uthe sitaron ki paalaki, abi aahaton ka guzar na ho

Ye Gazal ki jaise hiran ki aankhon mein pichhali raat ki chandni
Na bujhe kharabe kii roshani, kabhi becharaag ye ghar na ho

wo firaaq ho yaa visaal ho, teri yaad mahakegi ek din
wo gulab ban ke khilega kyaa, jo chirag ban ke jalaa na ho

Kabhi dhoop de, kabhi badaliyan, dil-o-jaan se dono qubul hain
Magar us nagar mein na qaid kar jahan zindagi ki hawaa na ho

Kabhi din ki dhoop mein jhoom ke kabhi shab ke phool ko chuum ke
Yun hi saath saath chalein sadaa kabhi khatm apna safar na ho

Mere paas mere habib aa zara aur dil ke qareeb aa
Tujhe dhadkanon mein basaa  main ke bichadne ka kabhi darr na ho

Bashir Badr

Please Give Us Your 1 Minute In Sharing This Post!
SOCIALIZE IT →
FOLLOW US →
SHARE IT →
Powered By: BloggerYard.Com

0 تبصرے:

Post a Comment

 
ترجمہ کردہ : محمد بلال اعظم