روزانہ کی اپڈیٹ کے لئے سبسکرائپ کریں

Friday, September 2, 2011

Hijabon Me Bhi Tu Numayan Numayan by Firaq Gorakhpuri

Hijaabon men bhi tu numaayaan numaayaan
Farozaan farozaan darakshaan darakhshaan

Tere zulf-o-rukh ka badal dhundtaa hun
Shabistaan shabistaan charaaghaan charaaghaan

Khat-o-khaal ki tere parchhaaiyaan hain
Khayaabaan Khayaabaan gulistaan gulistaan

Junun-e-muhabbat un aankhon ki wahshat
Bayaabaan bayaabaan Ghazalaan Ghazalaan

Lapat mushk-e-gesuu kii taataar taataar
Damak la’l-e-lab ki badakshaan badakshaan

Vohi ek tabassum chaman dar chaman hai
Vohi pankhuri hai gulistaan gulistaan

Saraasar hai tasvir jam’eeton  ki
Muhabbat ki duniya harasaan harasaan

Yehi jazb-e-pinhaan ki hai daad kafi
Chale aao mujh tak gurezaan gurezaan

“Firaq” khaziiN se tau waaqif the tum bhi
Vo kuch khoya khoya pareshan pareshan

Firaq Gorakhpuri

Please Give Us Your 1 Minute In Sharing This Post!
SOCIALIZE IT →
FOLLOW US →
SHARE IT →
Powered By: BloggerYard.Com

0 تبصرے:

Post a Comment

 
ترجمہ کردہ : محمد بلال اعظم