روزانہ کی اپڈیٹ کے لئے سبسکرائپ کریں

Tuesday, September 6, 2011

Laghzishoun Ke Nazul Ka Mousam by Sarwar Jaavi

Laghzishoun ke nazool ka mousam

Mousam-e-gul he bhool ka mausam

Zard patto ne dhanp rakha he

Konploun ke husool ka mausam

Ye bhi daur-e-khizan se guzre ga

Tere jurhe ke  phool ka mausam

Dairoun pe muhit he dil ke

Fikr ke arz-o-tool ka mausam

Ae Khuda mujh ko bhi ata kar de

Un ke qadmo ki dhool ka mausam

Kis tarah bhool jaon me Jaavi

Us ke rad-o-qabool ka mausam

 

Sarwar Jaavi

Please Give Us Your 1 Minute In Sharing This Post!
SOCIALIZE IT →
FOLLOW US →
SHARE IT →
Powered By: BloggerYard.Com

0 تبصرے:

Post a Comment

 
ترجمہ کردہ : محمد بلال اعظم