روزانہ کی اپڈیٹ کے لئے سبسکرائپ کریں

Tuesday, September 6, 2011

Bharkayen Meri Pias Ko bby Mohsin Naqvi

Bharkayen meri pias ko aksar teri aankhain
Sehra mera chehra he samander teri aankhain
Phir bhala kon daad e tabassum unhein de ga
Rooyen gi buhat mujh se bicher ker teri aankhain
Bojhal nazar aati hein bazahir mujhe laikin
Khulti hein buhat dil mein utar ker teri aankhain
Ab tak meri yadoon se mitaye nahi mit’ta
Bheegi hui sham ka manzar, teri aankhain
Mumkin ho to ik taza ghazal aur bhi keh loon
Phir aurrh na lein khuab ki chader teri aankhain
Yun dekhtey rehna usay achaa nahi Mohsin
Woh kaanch ka paiker hey to pather teri aankhain

 

Mohsin Naqvi

Please Give Us Your 1 Minute In Sharing This Post!
SOCIALIZE IT →
FOLLOW US →
SHARE IT →
Powered By: BloggerYard.Com

0 تبصرے:

Post a Comment

 
ترجمہ کردہ : محمد بلال اعظم