روزانہ کی اپڈیٹ کے لئے سبسکرائپ کریں

Thursday, September 1, 2011

Dil k aatishdaan meN shab bhar by Amjad Islam Amjad

dil ke aatishdaan meN shab bhar
kaise kaise gham jalte haiN!

niind bhara sannaaTa jis dam
basti ki ik ek gali meiN
khiRki khiRki tham jaata hai
diivaaroN par dard ka kohra jam jaata hai
rasta takne vaali aankheN aur qandiileN bujh jaati haiN
to us lamhe,
teri yaad ka iindhan ban kar
shola shola ham jalte haiN
duuri ke mausam jalte haiN

tum kya jaano,
qatrah qatrah dil meN utarti aur pighalti
raat ki suhbat kya hoti hai!
aankheN saare Khwaab bujha deN
chehre apne naqsh ganvaa deN
aur aaine aks bhulaa deN
aise meiN umiid ki vehshat
dard ki suurat kya hoti hai!

aisii tez hava meiN pyaare
baRe baRe munh zor diye bhi kam jalte haiN
lekin phir bhii ham jalte haiN
ham jalte haiN aur hamaare saath
tumhaare gham jalte haiN
teri yaad ka iindhan ban kar ham jalte haiN!

Please Give Us Your 1 Minute In Sharing This Post!
SOCIALIZE IT →
FOLLOW US →
SHARE IT →
Powered By: BloggerYard.Com

0 تبصرے:

Post a Comment

 
ترجمہ کردہ : محمد بلال اعظم