روزانہ کی اپڈیٹ کے لئے سبسکرائپ کریں

Tuesday, September 6, 2011

Wohi Log Mujh Se Bicher Gye by Aitbar Sajid

Jo khiyal they na qiyas they wohi log mujh se bichar gaye
Jo mohhbaton ki asaas they wohi log mujh se bichar gaye
Jinhey manta hi nahi ye dil wohi log mer hain hum safar
Mujhe har tarhan se jo ras they wohi log mujh se bichar gaye
Mujhe lamha bhar ki rafakaton ke sarab aur satayein gey
Meri umer bhar ki jo pyas they wohi log mujh se bichar gaye
Ye khiyal sarey hain aarzi ye gulab sarey hain kaghazi
Gul arzo ki jo bas they wohi log mujh se bichar gaye
Jinhey kar saka na kabool mein wo shareek e rah safar hoe
Jo meri talab meri as they wohi log mujh se bichar gaye
Meri dharkano ke kareeb they meri chah they mera khuwab they
Wo jo roz shab mere paas they wohi log mujh se bichar gaye

 

Aitbar Sajid

Please Give Us Your 1 Minute In Sharing This Post!
SOCIALIZE IT →
FOLLOW US →
SHARE IT →
Powered By: BloggerYard.Com

0 تبصرے:

Post a Comment

 
ترجمہ کردہ : محمد بلال اعظم