روزانہ کی اپڈیٹ کے لئے سبسکرائپ کریں

Tuesday, September 6, 2011

Kab Yad Me Tera Saath Nahi by Faiz Ahmed Faiz

Kab yaad main tera saath nahin kab haath main tera haath nahin
Sad shukar ke apni raaton main ab hijr ki koi raat nahin
Mushkil hain agar halaat wahan dil bech aaye jan de aaye
Dil walo koocha e janan main kia iase bhi halaat nahin
Jis dhaj se koi maqtal main gaya wo shaan salamat rehti hai
Ye jaan to aani jaani hai is jaan ki to koi baat nahin
Maidaan e wafa darbaar nahin yaa naam o nasab ki pooch kahan
Aashiq to kisi ka naam nahin kuch ishq kisi ki zaat nahin
Ye bazi ishq ki bazi hai jo chaho laga do dar kiasa
Gar jeet gye to kia kehna haare bhi to bazi maat nahin

 

Faiz Ahmed Faiz

Please Give Us Your 1 Minute In Sharing This Post!
SOCIALIZE IT →
FOLLOW US →
SHARE IT →
Powered By: BloggerYard.Com

0 تبصرے:

Post a Comment

 
ترجمہ کردہ : محمد بلال اعظم