Khwaab TuuT jaate haiN
bhiiR meN zamaane kii, haath ChhuuT jaate haiN
dost_daar lehje meN silwateN sii paRti haiN
ik zara si ranjish se
shak ki zard Tehni par phuul badgumani ke
is tarah se khilte haiN
zindagi se pyaare bhii
ajnabi se lagte haiN, ghair ban ke milte haiN
umr bhar ki chaahat ko aasra nahiiN milta
Khamushi ke waqfoN meN
baat TuuT jaati hai aur sira nahiiN milta!
m’aazrat ke lafzoN ko raushni nahiiN milti
lazzat-e-paziirai, phir kabhi nahiiN milti
phuul rang vaadoN ki manzileN sukaRti haiN
raah muRne lagti hai
berukhi ke gare se bedili ki mitti se
faasle ki iintoN se, iint juRne lagtii hai
khaak uRne lagtii hai
Khwaab TuuT jaate haiN
vaahmoN ke saaye se, umr bhar ki mehnat ko
pal meN luuT jaate haiN
ik zara si ranjish se
saath ChhuuT haiN
bhiiR meN zamane kii
haath ChhuuT jaate haiN
Khwaab TuuT jaate haiN
0 تبصرے:
Post a Comment