Yaad aata hai roz o shab koi
Hum se rootha hai bay sabab koi
Lab jo chhaon mein darakhton ki
Woh mulaqat thi ajab koi
Jab tujhe pehli baar dekha tha
Woh bhi tha mausam-e-turb koi
Kuch khabar lay kar teri mehfil se
Door baitha hai jaan balab koi
Na gham-e-zindagi na dard-e-firaaq
Dil mein yun hi si hai talab koi
Yaad aati hain daur ki baatein
Piyar se dekhta hai jab koi
Chot khaai hai baar-ha lekin
Aaj tau dard hai ajab koi
Jin ko mitna tha mit chukay NASIR
Un ko ruswa karay na ab koi
Nasir Kazmi
Tuesday, September 6, 2011
Yaad Ata He Roz-o-Shab Koi by Nasir Kazmi
Unknown
No comments
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 تبصرے:
Post a Comment