Gulon mein rang bhare baad e naubahaar chale
Chale bhi aao ke gulshan ka kaarobaar chale
Qafas udaas hai yaaro saba se kuchh to kaho
Kahin to bahr e Khuda aaj zikar e yaar chale
Kabhi to subah tere kunj e lab se ho aaghaz
Kabhi to shab sar e kaakul se mushakbaar chale
Bara hai dard ka rishta yeh dil gharib sahi
Tumhare naam pe aaenge ghamgusaar chale
Jo hum pe guzri so guzri magar shab e hijraan
Hamaare ashk teri aaqbat sanwaar chale
Maqaam Faiz koi raah mein jacha hi nahin
Jo kue yaar se nikle to sue daar chale
Faiz Ahmed Faiz
Tuesday, September 6, 2011
Gulon Me Rang Bhare by Faiz Ahmed Faiz
Unknown
No comments
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 تبصرے:
Post a Comment